Friday 13 June 2014

Shab-e-Barat Wallpapers Collection

Shab-e-Barat, the night of reverence, fervour and divine blessings for the Muslims, is being celebrated across the country tonight (Friday) with religious zeal.

The Shab-e-Barat is the night of blessings and worship of the Allah, the eighth month of the Islamic lunar calendar, is known as Shab-e-Barat while it is known as Laylatul Bara’ah or Laylatun Nisfe min Sha’ban in the Arab world.

On the event of Shab-e-Barat, Muslims gather at mosques to mark Shab-e-Barat or the night of forgiveness.

It is believed that if someone prays to God throughout the night and seeks forgiveness for all the sins he may have committed, he could be forgiven. The entire night of prayer is devoted to asking for forgiveness for the past year and for good fortune in the year to come.























Thursday 12 June 2014

Shab-e-Barat



15th Shaaban is the night of record. On which lives and fortunes during the coming year are said to be registered in heaven. Prophet Mohammad says that 15 shaban ul muazzam worship is the best worship. Prophet Mohammad said that night Allah opens many door for people.


Shab e Barat ki Fazilat in Urdu

Hazrat Muhammad (S.A) irshad farmate hain keh Shaban ul Muazzam ki 15 shab ki ibadat buhat afzal hai. Farmaya is shab ko allah tala apne bandon key liye be shumar darwaze apni rehmat key khool deta hai aur fermata hai keh kon hai jo aaj ki shab mujh se bakhshish talab kare aur mein is ko azab dozakh se nijat de kar is ki maghfarat karon farmaya aap ne keh is shab ki ibadat karne wale par dozakh ki aag Allah pak haram kar deta hai.

Nafil Namaz

1-Shaban ki 15 shab ko ghusal kare. Agar kisi tkleef key sabab ghusal na kare to sirf bawazu ho kar do rikat thayatul wazu parhe, har rikat mein surah fatiha key baad ayatul kursi aik bar surah ikhlas teen teen bar pahni hai. yeh namaz afzal hai.
2- Shaban ki 15 shab do rikat namaz parhni hai har rikat mein surah fatiha key baad aayatul kursi aik bar . surah ikhlas 15,15 martaba baad salalm key darood sharif 100 dafa parh kar tarqqi rizq ki dua kare insha allah tala is namaz key bais rizq mein taraqqi ho jaye gi.

3- 15 shab ko 8 rikat namaz do salalm se parhe, har rikat mein surah fatiha key baad surah ikhlas 10, 10 martaba parhni hai, allah pak is namaz key parhne wale key liye be shumar farishte moqarrar kare ga jo ise azab qabar se nijat ki aur dakhil behasht hone ki khushkhabri dein gay.

4- 15 Shab shaban 14 rikat namaz 7 salam se parhe aur har rikat mein baad surah fatiha key surah kafaroon aik bar surah ikhlas aik bar surah falaq aik bar surah naas aik bar pahni hai. Baad salam key aayatul kursi aik dafa phir surah toba ki aakhri aayat

tak aik bar parhe waste qaboolyat dua khua dunyawi ho ya dini yeh namaz buhat afzal hai.

5- 15 shab ko 8 rikat namaz do salam se parhe, pehli rikat mein surah fatiha key baad aayatul kursi 10 martaba, doosri mein surah fatiha key baad surah nashrah 10 martaba, tisri mein baad surah fatiha key surah qadar 10 martaba, choti mein surah fatiha key baad surah ikhlas 10 martaba parhe. Phir 4 rikat isi tarteeb se parhni hai. Baad salam key 70 martaba astaghfar aur 70 martab darood pak parh kar apne gunahon se toba kare insha allah tala is namaz parhne wale key gunah saghirah kabirah allah pak muaf farma kar maghfarat farmaye ga.

6- Shaban ki 15 tareekh baad namaz Zuhar 4 rikat namaz do salam se parhe, pehli rikat mein surah fatiha key baad surah zulzal 1 bar surah ikhlas 10 martaba, doosri rikat mein baad surah fatiha key surah takasur aik bar surah ikhlas 10 dafa, tisri rikat mein surah fatiha key baad surah kaferoon 3 bar. Surah ikhlas 10 martaba, chothi rikat mein surah fatiha key baad ayatul kursi 3 bar surah ikhlas 25 martaba parhe is namaz ki be had fazilat hai. Allah pak is namaz parhne wale par khas nazar karam qayamat key din farmaye ga aur insha allah tala is namaz ki barkat se deen o dunya ki bhalayi hasil hogi.

Wazaif

15 shab ko surah baqrah ka aakhri ruku aamanar rasoolo se kafereen tak 21 martaba parhe waste aman o salamti hifazat jan o mal afzal hai.

Shab 15 surah yaseen 3 martaba parhne key hasbe zel faide hain

Rizq, darazi umer, nagahani aafaton se mehfooz rehna insha allah tala.

Shaban ki 15 shab surah dukhan 7 martaba parhni buhat afzal hai.

Insha Allah parwar digar aalam 70 hajat duya ki aur 70 hajat ubqa ki qabool farmaye ga.

wazaif

mah shaban mein rozanah har namaz ke baad is dua ko parhna waste maghfarat gunah buhat afzal hai.


Nafil Roza

Mah shaban ki 15 tareekh key roze ki bari fazilat hai. jo koi yeh rozah rakhe bari tala is key 50 saal key gunah muaf farmaye ga.