Monday 28 April 2014

Perform 'Umrah in the Month of Ramadan

One day to go "Perform 'umrah in the month of Ramadan, (as it is equivalent to Hajj or Hajj with me (in reward)." ♥


Jo rozedar ho wo na to Biwi se Humbistari karey aur na Fahash (buri) aur Jahalat ki Batein kare..x

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Roza Dozakh se bachne k liye Aik dhaal hai isliye (jo rozedar ho) wo na to biwi se Hambistari kare aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye k main Rozedar hun do baar (kahe), us zaat ki Qasam jis k haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah taala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 3 :: Hadith 1894]


Meri Ummat k Logon mein us waqt tak khair Baqi rahegi jab tak wo Iftaar mein jaldi karte rahenge 

Hazrat Sahl Bin Saad Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Volume 3 :: Hadith 1957]

Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya "Sehri khaya karo kyu k Sehri k khane mein barkat hai ". 

[Urdu Ref :: Sahih Muslim ::Vol 3 :: Hadith 2549]


Jab tum mein se koi Roza Iftar karne lage to Khajur se Iftar kare aur Agar khajur na mile to paani se kare 
Hazrat Salman bin Amr Radi-Allahu-Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi Roza Iftar karne lage to khajur se iftar kare aur agar khajur muyassar na ho to phir paani se iftar karle kyun k paani paak karne wala hai. 

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith 1699]
Ibn Abbas R.A ne Farmaya k Jab RasoolAllah  Hajj-e-vida se wapas huye to Aap  ne umm Sinan Ansariya Aourat radi allaho anha se daryaft farmaya k tu Hajj karne nahi gayi ? unhone Arz ki k Fula Baap yani mere khawind (Husband) k pass Do oont (camel) pani pilane k the Aik par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai, Aap  ne is par Farmaya k Ramadan mein Umrah karna Mere saath Hajj karne k barabar hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1863]
Jo kisi Rozedar ka Roza Iftar Karwaye to usko Bhi uskey Barabar Sawab Milega 

 Hazrat Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai k Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo kisi rozedar ka roza iftar karwaye to usko bhi uskey barabar sawab milega, rozedar k sawab mein kami bhi na hogi.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith 1746]
Hazrat Abu Huraira r.a se Riwayat hai k RasoolAllah  ne farmaya Agar koi Shaks Jhoot bolna aur Dagabazi karna (Roze rakh kar bhi) Na chhore to Allah Tala ko uski koi Zarurat nahi k wo Apna Khana Peena chhorde.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadtih 1903]

Hazrat Abu Huraira r.a se rivayat hai Rasoollallah  ne farmaya jab koi bhool gaya aur kuch kha pee liya to usey chahiye ke apna roza pura kare, kyon ke usko Allah ne khilaya aur pilaya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith1933]

Hazrat Abu Huraira r.a se Riwayat hai k RasoolAllah  ne Farmaya Jab Ramadan Aata hai to Jannat k Darwaze khol diye jate hain.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1898]
Hazrat Abu Huraira r.a se Riwayat hai k RasoolAllah  ne Farmaya Jab Ramadan ka Mahina aata hai to Aasman k Tamaam Darwaze khol diye jate hain, Jahannam k Darwaze band kardiye jate hain aur Shayateen ko Zanjiron se Jakad diya jata hai. 

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1899]

                   ✦........♥ Assalamu Alaikum Mere Pyare Bhai Aur Behnon ♥........✦

"R A M A Z A N" ka Mahena Aane wala h, Guzashta saal Hamare safon main Hamare kayi bhai Moujood the Lekin Aaj wo hamari safon main Nahi hai [:'(] "Ibadat" is Maah mein Aise karo Jaise ke ye Hamare Zindagi ka Aakhri Ramazan hai, Kya Pata Aa'inda Ramzan Hamein Naseeb ho ya Na Ho. kahin Aisa na ho k Har saal ki Tarah is saal bhi Hum is Maah ko Ghaflat mein na Guzar baithen.

[:'(] Fajr Sone mein Guzar Na jaye,
[:'(] Zohar Kamo mein Guzar Na Jaye,
[:'(] Asar Iftari ki Tayyari mein Guzar na Jaye,
[:'(] Magrib Iftari khate khate Imam sahab Salam na Phair baithe,
[:'(] Isha Iftaar party mein Ham na Guzarden.

●◗► Namazo ki Pabandi kare Ba-jamaat, Taraweeh, Zikr o Azkar, Quran ki Tilawat, Allah Tala Ham sab ko Is Maah ki Qadardani ki Toufeeq Dein, Is Rahmato aur Barkaton k Mahine ki Ahmiyat Hamare Dil me Paida Karden.

                                     ★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

    ⇨ "O ye who believe! Fasting is prescribed for you, even as it was prescribed for those before you, that ye may ward off (evil)". (Qur'an 2:183)

No comments:

Post a Comment