Shab-e-Barat, the night of reverence, fervour and divine blessings for the Muslims, is being celebrated across the country tonight (Friday) with religious zeal.
The Shab-e-Barat is the night of blessings and worship of the Allah, the eighth month of the Islamic lunar calendar, is known as Shab-e-Barat while it is known as Laylatul Bara’ah or Laylatun Nisfe min Sha’ban in the Arab world.
On the event of Shab-e-Barat, Muslims gather at mosques to mark Shab-e-Barat or the night of forgiveness.
It is believed that if someone prays to God throughout the night and seeks forgiveness for all the sins he may have committed, he could be forgiven. The entire night of prayer is devoted to asking for forgiveness for the past year and for good fortune in the year to come.
Showing posts with label Islamic Maloomat. Show all posts
Showing posts with label Islamic Maloomat. Show all posts
Friday, 13 June 2014
Thursday, 12 June 2014
Shab-e-Barat

15th Shaaban is the night of record. On which lives and fortunes during the coming year are said to be registered in heaven. Prophet Mohammad says that 15 shaban ul muazzam worship is the best worship. Prophet Mohammad said that night Allah opens many door for people.
Shab e Barat ki Fazilat in Urdu
Hazrat Muhammad (S.A) irshad farmate hain keh Shaban ul Muazzam ki 15 shab ki ibadat buhat afzal hai. Farmaya is shab ko allah tala apne bandon key liye be shumar darwaze apni rehmat key khool deta hai aur fermata hai keh kon hai jo aaj ki shab mujh se bakhshish talab kare aur mein is ko azab dozakh se nijat de kar is ki maghfarat karon farmaya aap ne keh is shab ki ibadat karne wale par dozakh ki aag Allah pak haram kar deta hai.
Nafil Namaz
1-Shaban ki 15 shab ko ghusal kare. Agar kisi tkleef key sabab ghusal na kare to sirf bawazu ho kar do rikat thayatul wazu parhe, har rikat mein surah fatiha key baad ayatul kursi aik bar surah ikhlas teen teen bar pahni hai. yeh namaz afzal hai.
2- Shaban ki 15 shab do rikat namaz parhni hai har rikat mein surah fatiha key baad aayatul kursi aik bar . surah ikhlas 15,15 martaba baad salalm key darood sharif 100 dafa parh kar tarqqi rizq ki dua kare insha allah tala is namaz key bais rizq mein taraqqi ho jaye gi.
3- 15 shab ko 8 rikat namaz do salalm se parhe, har rikat mein surah fatiha key baad surah ikhlas 10, 10 martaba parhni hai, allah pak is namaz key parhne wale key liye be shumar farishte moqarrar kare ga jo ise azab qabar se nijat ki aur dakhil behasht hone ki khushkhabri dein gay.
4- 15 Shab shaban 14 rikat namaz 7 salam se parhe aur har rikat mein baad surah fatiha key surah kafaroon aik bar surah ikhlas aik bar surah falaq aik bar surah naas aik bar pahni hai. Baad salam key aayatul kursi aik dafa phir surah toba ki aakhri aayat

tak aik bar parhe waste qaboolyat dua khua dunyawi ho ya dini yeh namaz buhat afzal hai.
5- 15 shab ko 8 rikat namaz do salam se parhe, pehli rikat mein surah fatiha key baad aayatul kursi 10 martaba, doosri mein surah fatiha key baad surah nashrah 10 martaba, tisri mein baad surah fatiha key surah qadar 10 martaba, choti mein surah fatiha key baad surah ikhlas 10 martaba parhe. Phir 4 rikat isi tarteeb se parhni hai. Baad salam key 70 martaba astaghfar aur 70 martab darood pak parh kar apne gunahon se toba kare insha allah tala is namaz parhne wale key gunah saghirah kabirah allah pak muaf farma kar maghfarat farmaye ga.
6- Shaban ki 15 tareekh baad namaz Zuhar 4 rikat namaz do salam se parhe, pehli rikat mein surah fatiha key baad surah zulzal 1 bar surah ikhlas 10 martaba, doosri rikat mein baad surah fatiha key surah takasur aik bar surah ikhlas 10 dafa, tisri rikat mein surah fatiha key baad surah kaferoon 3 bar. Surah ikhlas 10 martaba, chothi rikat mein surah fatiha key baad ayatul kursi 3 bar surah ikhlas 25 martaba parhe is namaz ki be had fazilat hai. Allah pak is namaz parhne wale par khas nazar karam qayamat key din farmaye ga aur insha allah tala is namaz ki barkat se deen o dunya ki bhalayi hasil hogi.
Wazaif
15 shab ko surah baqrah ka aakhri ruku aamanar rasoolo se kafereen tak 21 martaba parhe waste aman o salamti hifazat jan o mal afzal hai.
Shab 15 surah yaseen 3 martaba parhne key hasbe zel faide hain
Rizq, darazi umer, nagahani aafaton se mehfooz rehna insha allah tala.
Shaban ki 15 shab surah dukhan 7 martaba parhni buhat afzal hai.
Insha Allah parwar digar aalam 70 hajat duya ki aur 70 hajat ubqa ki qabool farmaye ga.
wazaif
mah shaban mein rozanah har namaz ke baad is dua ko parhna waste maghfarat gunah buhat afzal hai.

Nafil Roza
Mah shaban ki 15 tareekh key roze ki bari fazilat hai. jo koi yeh rozah rakhe bari tala is key 50 saal key gunah muaf farmaye ga.

Monday, 28 April 2014
Perform 'Umrah in the Month of Ramadan
One day to go "Perform
'umrah in the month of Ramadan, (as it is equivalent to Hajj or Hajj with me
(in reward)." ♥
Jo rozedar ho wo na to Biwi se Humbistari karey aur na
Fahash (buri) aur Jahalat ki Batein kare..x
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Roza Dozakh se bachne k liye
Aik dhaal hai isliye (jo rozedar ho) wo na to biwi se Hambistari kare aur na
fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya
usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye k main Rozedar hun do baar
(kahe), us zaat ki Qasam jis k haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu
Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah
taala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai
Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal
neki ke 10 guna hota hai
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 3 :: Hadith 1894]
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 3 :: Hadith 1894]
Meri Ummat k Logon
mein us waqt tak khair Baqi rahegi jab tak wo Iftaar mein jaldi karte rahenge ♥
Hazrat
Sahl Bin Saad Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi
wasallam ne Farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab
tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Volume 3 :: Hadith
1957]
Hazrat
Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam
ne Farmaya "Sehri khaya karo kyu k Sehri k khane mein barkat hai ".
[Urdu Ref :: Sahih Muslim ::Vol 3 :: Hadith 2549]
Jab tum mein se koi Roza Iftar karne lage to Khajur se
Iftar kare aur Agar khajur na mile to paani se kare ♥
Hazrat Salman bin Amr Radi-Allahu-Anhu se riwayat hai k
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi Roza
Iftar karne lage to khajur se iftar kare aur agar khajur muyassar na ho to phir
paani se iftar karle kyun k paani paak karne wala hai.
[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith
1699]
Ibn Abbas R.A ne Farmaya k Jab RasoolAllah ﷺ Hajj-e-vida se wapas
huye to Aap ﷺ ne umm Sinan Ansariya
Aourat radi allaho anha se daryaft farmaya k tu Hajj karne nahi gayi ? unhone
Arz ki k Fula Baap yani mere khawind (Husband) k pass Do oont (camel) pani
pilane k the Aik par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab
karta hai, Aap ﷺ ne is par Farmaya k
Ramadan mein Umrah karna Mere saath Hajj karne k barabar hai.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1863]
Jo kisi
Rozedar ka Roza Iftar Karwaye to usko Bhi uskey Barabar Sawab Milega ♥
Hazrat
Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai k Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo kisi rozedar ka roza iftar karwaye to
usko bhi uskey barabar sawab milega, rozedar k sawab mein kami bhi na hogi.
[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith
1746]
Hazrat Abu Huraira r.a se Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ ne farmaya Agar koi Shaks Jhoot bolna aur Dagabazi karna (Roze rakh kar bhi) Na chhore to Allah Tala ko uski koi Zarurat nahi k wo Apna Khana Peena chhorde.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadtih 1903]
Hazrat Abu Huraira r.a se rivayat hai Rasoollallah ﷺ ne farmaya jab koi
bhool gaya aur kuch kha pee liya to usey chahiye ke apna roza pura kare, kyon
ke usko Allah ne khilaya aur pilaya.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith1933]
Hazrat Abu Huraira r.a
se Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya Jab Ramadan
Aata hai to Jannat k Darwaze khol diye jate hain.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1898]
Hazrat Abu Huraira r.a se Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya Jab Ramadan
ka Mahina aata hai to Aasman k Tamaam Darwaze khol diye jate hain, Jahannam k
Darwaze band kardiye jate hain aur Shayateen ko Zanjiron se Jakad diya jata
hai.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 1899]
✦........♥ Assalamu Alaikum Mere Pyare Bhai Aur Behnon ♥........✦
"R A M A Z A N" ka Mahena Aane wala h, Guzashta saal Hamare safon main Hamare kayi bhai Moujood the Lekin Aaj wo hamari safon main Nahi hai [:'(] "Ibadat" is Maah mein Aise karo Jaise ke ye Hamare Zindagi ka Aakhri Ramazan hai, Kya Pata Aa'inda Ramzan Hamein Naseeb ho ya Na Ho. kahin Aisa na ho k Har saal ki Tarah is saal bhi Hum is Maah ko Ghaflat mein na Guzar baithen.
[:'(] Fajr Sone mein Guzar Na jaye,
[:'(] Zohar Kamo mein Guzar Na Jaye,
[:'(] Asar Iftari ki Tayyari mein Guzar na Jaye,
[:'(] Magrib Iftari khate khate Imam sahab Salam na Phair baithe,
[:'(] Isha Iftaar party mein Ham na Guzarden.
●◗► Namazo ki Pabandi kare Ba-jamaat, Taraweeh, Zikr o Azkar, Quran ki Tilawat, Allah Tala Ham sab ko Is Maah ki Qadardani ki Toufeeq Dein, Is Rahmato aur Barkaton k Mahine ki Ahmiyat Hamare Dil me Paida Karden.
★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★
⇨ "O ye who believe! Fasting is prescribed for you, even as it was prescribed for those before you, that ye may ward off (evil)". (Qur'an 2:183)
Subscribe to:
Posts (Atom)